
Har dua ka asar ho aap
Har punya ka fal ho aap
Meri zindagi sawarne waale ho aap
Mujhe khud se milane wale ho aap
Aapki aankhe, aapki shaksiyat
Aapki baatein, aapka ehsaas
Sb kuch apna hai..
Sb kuch sachha hai..
Har dua ka asar ho aap
Har punya ka fal ho aap
Zindagi mai jo bhi paya
Zindagi mai jo bhi maanga
Zindagi se jo bhi milaa
Un sb se badhkr ho aap
Aapka saath hona
Meri himmat hai
Meri taqat hai
Aapke sath hone se
Har mushkil aasaan hai
Har dard meetha hai
Har aansu moti hai
Har lamha khubsurat hai
Kaise koi shaksh itna khaas ho jata hai
Kaise koi shaksh dil ke kareeb ho jata hai
Kaise koi shaksh anjaan se meri zindagi bann jataa hai
Naa jaane kaise..
Kaise aap bin kahe sb kuch jaan jaate ho
Kaise aap bina mile hi mere kareeb rahte ho
Kaise aap har cheez ko itnaa saral bana dete ho
Kaise aap meri har peresshaani ko door kar dete ho…
Naa jaane kaise karte ho aap sb kuch
Jaise dil ke bina dhadkan adhuri hai
Jaise shyam ke bina radha adhuri hai
Waise hi aapke bina mai adhuri hu…
Bs itna pta hai meri,
Har dua ka asar ho aap
Har punya ka fal ho aap
Aap ho toh sb kuch hai..
Aap nai toh sab arthheen hai
Nice poem
Thanks
[…] Har Dua ka asar ho aap, Har punya ka fal ho aap […]