Aaj maine khud ko sheshe mai dekha
Khud ki narzo se nai dusro ki nazro se dekha
Wo dusre jo kabhi mere apne huye krte the
Wo dusre jo kabhi mujhe samjhte the
Wo dusre jo kabhi mere sbse kareeb huaa krte the..
Wo jo jaante the meri sakshiyat kyaa hai
Wo jo jaante the main kitni himmat waali hu
Wo jo jaante the ki meri zindagi main kitni bhi mushkil,
kitni pereshaani aayi ho,
Wo jo jaante the ki maine humeshaa datt kar saamnaa kiya
Wo jo jaante the main sab kuch chordh sakti hu Lekin apno ko nahi
Wo jo jaante the mujhe chunotiyion se drr nai lagtaa
Wo Jo jaante the mujhe pyar se jeeta jaa sakta hai…
Itna sab kuch janne k baad bhi aaj maine khud ko dusro ki nazro se dekhaa
Aaj wo meri himmat ,mere sahass ko jhinjordh rhe hai..
Aaj wo mujhe chunotiyian de rhe hai
Jo maine jeewan mein kiya
Jo maine jeewan mein paayaa
Aaj wo mujhe jhutla rahe hai
Aj wo apna saath chordh rhe hai..
Mujhse door jaa rhe hai
Main toot rahi hu
Main bikhar rahi hu
Kuch galat na krte huye bhi mujhpr ilzam laga rahe hai
Main darti nai hu main himmat waali hu
Na dari main pehle naa darungi main aage

Maidaan me ladhna bhi aataa hai aur jeetnaa bhi
Magar,
Parantu,
Main ladhun toh kiske khilaaf ,
Sab apne hai mere
Sb mere apne hai…
Apno se pyar hai mujhe par main aaj haar gyi…
apno se har gyi
Aaj maine khud ko sheshe mai dekha
Khud ki nazro se nai dusro ki nazro se dekha
Dusro ki nazro main jeet gyi
Magar
Main khud ki nazro nai haar gyi
Aaj maine khud ko sheshe mai dekha
Khud ki nazro se nai dusro ki nazro se dekha
Image Credit : Google Images